Lyric provided by www.seekalyric.com

madabhari ye hawaaein paas aaein
naam lekar mujhako ye bulaayein
madabhari ye hawaaein

main ne raaton se kar li dosti taaron ke liye
aur chura ke liya mainne ye din bahaaron ke liye
ai zamin aasamaan mujhako do duwaaein
madabhari ye hawaaein

mainne laharon ki baahein thaam kar dhundhe hain bhanvar
saahilon pe kisi ajanabi ki talaashi hai dagar
kaash le kar unhe laharein laut aaein
madabhari ye hawaaein