Lyric provided by www.seekalyric.com

prabhu tumhin prakash do
saanjh ho gayi prabhu tumhin prakash do
prakash do
prakash do

zindagi ki naav ye liye hamein kidhar chali
raah dhuundati hui bhanvar mein aaj ghir chali
jhilamila raha hriday nayan ki putaliyaan hili
aansuon ki dhaar aaj baadalon si jhar chali
bhikh maangate nayan
bhikh maangate nayan inhein suhaas do
is niraash kaanpate hriday ko aas do
prabhu tumhin prakash do

mila kahin na chain hai kati kahin na rain hai
siva rudan ke aaj tak sune na madhur bain hain
bujha hua prakaash dip paanv ladakhada rahein
kuch bhi suujhata nahin andhere aise chha rahein
praan ye pukaarate
praan ye pukaarate tumhin vikaas do
is niraash kaanpate hriday ko aas do
prabhu tumhin prakaash do