|
Lyric provided by www.seekalyric.com |
Aa chaltaye hain us nagri main jahaun panchi urtay rehte hain parbat say jharnain behtay hain jahaun ankhoun main kuch sapany hain koi ghair nahi sub apnay hain jahaun nadiya pyar ki behti hia aur meetay suroun main kehti hai yeh basti hai dil ki sultanat yeh basti hai dil ki sultanat aur dil hai hukmaran Kaisay dil ki banjar dharti par aik nafrat ugti rehti hai ek aas sulaghti rehti hai koi chupke say ajaye ga aur apna mujhe banayega mera haath woh haath main thaamaye ga us paar mujhe leh jaye ga jahaun chahat ki hai sultanat jahaun chahat ki hai sultanat chahat hai aasmaan Yeh dunya hai ek sultanat yahaun subka apna raaj hai ak zehr main dooba samaj hai yahaun rooh tarpati rehti hai kaisay kaisay dhuk sehti hai rishtay bus dunya daari hai aur charoun taruf ayaari hai oo rabba kaisi hai yeh sultanat rabba kaisi hai yeh sultanat aur kaisa hai jahaun..hai jahaun.. hai jahaunn |