Lyric provided by www.seekalyric.com

haaye re insaan ki majbooriyaan-2
paas rah kar bhi hai kitani dooriyaan, dooriyaan
haaye re insaan ki

kuchh andhere men nazar aata nahin
koi taara raah dikhalaata nahin
jaane ummidon ki manzil hai kahaan-2
haaye re insaan ki

shamma ke anjaam ki kis ko khabar
khatm hogi yaa jalegi raat bhar
jaane ye shola banegi ya dhuaan-2
haaye re insaan ki

Posted by: p u r n i m a