Abhijeet, Sunidhi - Pyar Bhara Ek Khat Lyrics

  • Artist/Band:
  • Album:
  • Song Title:
  • Text Options:
  • Share & Like:

pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain
pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain
padhte padhte bheegi palken - 2
aankhon se chhalka aansu hain
aansu hain
pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain

iss baar piya tum na aana
yeh gham hum tum seh lenge
iss baar piya tum na aana
yeh gham hum tum seh lenge
kuchh paise bach jaayenge - 2
bititya ke jewar le lenge
likhte likhte ankh bhar aayi - 2
dil pe kiska kaabu hain kaabu hain
pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain

budhi maan ki budhi aankhen
dekhe yeh ghar ka har kona
budhi maan ki budhi aankhen
dekhe yeh ghar ka har kona
bete ki thaali roz parose - 2
jaane kis din ho aana
pal pal maan ka dil rota hain - 2
mamata toh bekaabu hain bekaabu hain
pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain

woh peepal ki chaanv ghaneri
duaaon jaisa apana ganv
woh peepal ki chaanv ghaneri
duaaon jaisa apana ganv
tumko pukaare ganv ki galiya - 2
mehakte saare phool aur kaliyaan
birah ki raaten katt jaayegi
hone ko roshan jugnu hain jugnu hain
pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain
padhte padhte bheegi palken - 2
aankhon se chhalka aansu hain
aansu hain
pyar bhara ek khat aaya hain
jismein ghar ki khushbu hain

Search Song Lyrics
Browse Artists

A B C D E F G H I J K L M N
O P Q R S T U V W X Y Z #

Hide preview
Lyrics and Video Widget:

Code for your site/blog/space

Click above to select the code then right click & copy to get the code to paste onto your site/blog